Sunday, 13 October 2013

BAchpan.......

Har baar ki tarah, kal ek mela laga tha mere ghar ke paas........
mela ghoomne gaya to dekha ki....mele main kuch bhi nahi badla.
Bilkul waisa hi tha, jaisa ki pichle kai saalo se lagta raha hai........

Wo hi Ucha wala jhoola, Wo hi Ram leela, Wo hi teen putle(har bar ram ji ke teer in putlo ko jala deta hai, naa jane kaun inhe fir se waisa hi khada kar deta hai jaise pichli baar khade they.......unhe dekh kar lagta hi nahi ki kabhi jale they)....sab us hi jagah tha, jaha pichli bar chod kar gaya tha...........

Apni Zindagi ke jiye huye chand salo mai, mele ma khud ko itna akela kabhi mehsoos nahi kiya tha...

Main akela hi aaya tha........
har baar mera "BACHPAN"  bhi mere sath aata tha, lekin kuch saal pehle, Mera masoom BaChPaN meri ungli chod kar jaa chuka hai......Naa jane kaha peeche reh gaya is mele ki bheed mai wo......

Mele ki jhil-milati roshni main, Apne bachpan ko main dekh hi nahi paaya.......ki kaha gaya wo
Usne Aawaz to jaroor di hogi mujhe, Chikha bhi hoga, shayad roya bhi ho.......

Mele ke shor mai, Uski aaakhiri cheekh tak naa sun saka.......
Naa jane usey ab jhoola kaun jhoolata hoga, Ram ji ka Dhanush kaun dilata hoga.....

Agar wo naa hota....... to shayad main kabhi wo Ucha wala jhoola naa jhool pata...
aur jhoole ke upar pahuchne par jo khushi milti hai, usey kabhi mehsus naa kar pata......

Usey sikhane ke bahane do-teen teer main bhi chala leta tha uske dhanush se............
chehre se apni khushi jhalakne nahi deta tha, lekin sach kahu to maza bahut aata tha dhanush baad chalane main.....

.....ab jab wo nahi hai, to sochta hu ki, mele mai kya karne aaya hu.
shayad ab jana hi chod du mele main......Uske bina mele main dil nahi lagta

Aaj bhi jab, uske bare main likh raha hu to, uska khul ke masoomiyat se muskurata hua chehra hi yaad aa raha hai..........wo masoom bachpan mera, mujh se chota jarur tha, lekin Zindagi main khush rehna maine us hi se seekha hai..........

Wo jaa chuka hai, lekin fir bhi Dil se shukriya kehna chahta hu usey....
Agar wo naa hota, to shayad duniya ki achchaiya naa dekh pata main.......
Zindagi khul ke kaise jeete hai, ye kabhi naa seekh pata main..........

Shukriya mere pyare dost, Tum meri muskan main hamesha rahoge......

chalta hu, is mele main bheed bahut hai.......
aap bhi chalte rahiye, lekin ho sake to uska shukriya jaroor ada kijiyega jo peeche reh gaya hai.....

Thursday, 10 October 2013

Mumma Herculese ke Darshan..............


Aaj subah-subah tehlne nikla to, pados ke mitr(frnd) ne kaha chodo ye tehlna vehlna isme kya rakha hai ....
Chalo Morning-Walk par chalte hai,

 Angreji shabd jyada Hygenic hote hai, jaldi pach jate hai maine bhi pacha liya.......Goli mari tehlne ko aur nikal pada morning walk par...........

Subah ka khushnuma vatavarad(atmosphere), din ke 24 ghanto ka sabse behtar najara dikha raha tha mujhe......

Bachche khel rahe the........ Boode(old people) bachcho ko khila rahe the
Yuva daud rahe the...lekin kiske piche........

 Tabhi pink night dress pehne, cycle par muskurati aur ghanti bajati ek yuvti ki madhur aawaz sunai di..........LAZY BOY........
tab samajh aaya ladko ke jogging ke piche ki prerna(inspiration) kaun hai.........

Ladke ko sambodhit karne ke liye ladki ne jin shabdo ka prayog kiya tha, unka to main FAN ho gaya tha....LAZY BOY....kitna  Kool lagta hai, kisi ladki muh se apni aisi tarif sun naa..........

Waise ladka tha bhi bada Kool,
Bina Nahaye ,
Balo main gel lagaye,
Jockey ki nikkar chadaye
kano main ear phone thoose,,,,,,,,deo ki khushboo udata hua dauda ja raha tha ghanti ki aawaz ke piche....


Tabhi ek hare bhare park main jaise hi ghoosa, kuch uncle log jor jor se hasne lagey mujhe dekh kar............
Mujhe laga , shayad jaldi-jaldi main ulti t-shirt pehan aaya isliye haas rahe hai....inferiority complex namak bhawna ki anubhooti(feel) kar raha tha, isliye najre nahi utha paya...........

............par jab najre uthayi to malum pada wo mujh par nahi haas rahe the........wo to baba RAMDEV , ke bhakt nikle,...........jinke paas hasne ki koi vajah nahi hai, isliye yoga ke naam par bewajah haas rahe hai....
:
:
Is sare mauj masti bhare drashya se ek alag drashya bhi dekha maine..........
Ek Maa ja rahi hai, Jimmedari ke roop main bachche ka basta aur bottle uthaye........
Ungli pakad kar bachche ki, mano usey hausla de rahi, jivan main kuch karne ka......

Itne main kisi ne dhool uda di, dekha to is baar bhi.... samaj ko saaf-suthra karne ka kaam ek mahila ne jhadu laga kar apne ghar se hi shuru kar diya tha.......

Maa ko pata hai, sirf ghanti wali ke piche jogging karne se  sehat nahi banegi mere LAAL(loving son) ki....
kuch khilana pilana padega usey.........
ISLIYE ghar par jab koi so kar bhi nahi uthta, tab maa nikal jati hai ghar se DOODH ka dibba lekar apne LAAL ki sehat lene..........theek waise hi jaise koi chidiya subah subah apne bachcho ke liye dana lene nikal jati hai........

Tabhi pani ki suvidha se vanchit, ek kamjor mahila ke chehre par dradh sankalp bhav dekha, apne parivar ki seva karne ka.........sach kahu to chehre se jyada, uske haatho main tangi do bhari baaltiyo se pata chala, uske seva bhav ke bare main.........

Bharat nirman ka vaada sarkare karti hai...............
Desh yuva badlenge, ye keh kar chode hum hote hai..........

........Itne main, dhire se bina shor machaye, bina ehsan jataye, MUMMA.........ladki ki ATLAS cycle par chape(print) Herculese ke logo ki tarah dharti sir par uthaye huye hai...........

Sach kahu to samaj ki har Maa "Mumma Herculese" hi hai.........
Jo sara bojh, khud hi utha leti hai, lekin hum to wo andhe hai, jinhe naa to wo bojh dikhai deta hai jo unhone Herculese ki tarah utha rakha hai AUR naa hi unki tedi kamar jo bojh ki vajah se ho gayi hai.......

Ho sake to thoda bojh aap bhi baant lijiye Mumma Herculese ka..............
Baant na sake to tedi kamar par marham jarur lagaiyega...........

chalta hoon, Marham dhoondne......... Aap bhi dhoondte rahiye.........Mumma herculese ka marham.                                                                                                                                                                                                        


                                               

Tuesday, 8 October 2013

duaa........

Main apne dukh se dukhi nahi hota..........
apno ke dukh se dukhi ho jata hu.......

ho sake to is dukh ko koi daba do........
daba na sako to is dukh ki koi dawa do......

dawa na miley to, dil ko jo choo jaye aisi koi salah do......
salah se sabka bhala karunga.........

mere bhala karne se bhi BALA na gai to, gila karunga..........
gila karne main aansuo se, gaal geele ho jaye to bhi parwah nahi........

apno ke bhale ke liya main hamesha, dua karunga..........

........mere apne hamesha meri duao main hai.

Akhiri saalam..........

Use milne ki chahat huyi, phone kar ke bula liya usne ghar par mujhe..........

Usne bulaya kyu, ye main aaj tak nahi samajh paya....
fir bhi nikal pada tha, us gehri raat main ghar se....

Pyar main aksar aisa hi hota hai,
Dil sochne ki izazat nahi deta.......
aur aap bina soche-samjhe hi kam karne lagte hai....

Uske darwaze par pahuch kar, maine dastak di..........
ek hi jhatke main, gate khul gaya.......
Mano jaise, gate par hi sir rakh ke rah tak rahi thi wo meri....

Kuch boli nahi wo, SIRF MUSKURAYI...........
Mujhe aaj bhi yaad hai Un ek jodi ankho ka bholapan......
aur uski Muskan ki Masumiyat..........

kuch bole nahi hum, bas ek doosre ki ankho main likhe paigam padte rahe.....
raat bhar sard hawaye, chalti rahi.........
raat bhar hamne alaav taapa.........
Raat bhar barsi uski ankho ki kali-kali badriya mujh par..........
Aaj bhi yaad hain, Uske us raat kiye huye wade.....

lekin pal bhar main sab badal gaya.....
Raat kachchi padne lagi thi..........
Sard hawaye bhi thamne lagi thi......

lekin hakikat main kuch nahi badla....jo badla tha wo gujar chuka hai........
bachi hai sirf us raat ki yaad.......

Sach kahu to naa uske aane ki aahat huyi thi,
aur naa hi uske jane ka pata chala.....

Ye sach hai ki wo aaya tha, meri zindagi main..........
uske sath kuch pal main bhi muskuraya tha...........
lekin ye bhi sach hai, ki wo ja chuka hai.....apna aakhiri salaam kiye bina

Naa jane kyu, akhiri baar milna itna jaruri  hota hai............
Tata, bye-bye jaise shabdo ki ahemiyat tab samajh aati hai, jab koi kahe bina chala jaata hai...........


isliye chalte-chalte karta hoon TATA.......
aap bhi karte rahiye kisi ko BYE-BYE...........